How to port mobile Number ....
Aaj har koi mobile ka use karta hai aur obisoly baat hai ki mobile hoga to sim bhi hogi. Sab mobile me alag -alag company ka sim use karte hai koi , Tata ,Airtel, aur koi Jio ka sim use karta hai. Aaj kal companies ke badne se unme aage nikalne ki hod mach chuki hai aur har koi apne grahak ko lubhane wale offer deta hai ,par grahak to grahak hai use jisme jyada faida jan padta hai usi ka wo grahak ban jata hai aur wo ak alag company ki sim ko doosri me convert karva leta hai ise hi 'PORT' kahte hai. Ise MNP bhi kaha jata hai.
Guys aj kal lagta hai ki iska trend chal pada hai ki ak company me faida nahi dikha to doosri ko le lo. Dosto ye bat kene me jitni aasan hai us se aasan hai PORT karwana . Dosto aaj ke is artical me hum aaj batayenge ki apni kisi bhi company ki sim ko kaise Port karwate hai.
ज़रूर पढ़े:- Poem पढ़े हिंदी में
Par guys iski kuch rule bhi hote hai .niche humne rule bataye hai kya wo aapki sim par apply hote hai to aap sim ko Port karwa sakte hai-
1. waise iska bahut aasan sa rule hai ki aapki sim 3 month purani honi chaiye tabhi aap sim port karwa sakte hai.
2. Aur aapke pas Aadhar Card hona chaiye .
3. Aapki sim me kum se kum massage jane jitna Ballance hona chaiye.
Agar aapki sim me ye sab hai to aap apni sim Port karwa sakte hai.Aage hum bat karenge ki apni Sim ko kaise port karwaye. Iske liye aapko in points ko follow karna hoga -
- Sabse pahle aapko jis company me sim port karwani hai uske Sim center par apna Aadhar card aur mobile lekar jana hai.
- Phir aapko apne mobile me message app me jana hai aur phir aapko ak message send karna hai.
- Aapko ' 1906' par 'PORT' likh kar bej na hai aapko ye comma nahi lagane hai .
- Aisa karne par aapke mobile par PORT CODE aaiyege use aapko usko center wale ko batana hai.par ak bat batau wo code keval 30 minute ke liye manaya hoga agar 30 minute bad aap jate hai to wahi process aapko phir karni hogi.
- Phir aapko aadhar aur wo code batane par wo apni process karega aur aapko uski device par fingerprint scan karna hai aisa karne ke bad aapki sim Port ho jayegi .
- Sim port ho jane ke bad wo aapse apni present company ke simcard ko dodna ya fekna hai aur aapko jis company me sim port karwayi hai us company ka sim card de dega .
To dosto aap istarah apni sim ko PORT karwa sakte hai.
Aapko hamare dwara di gayi jankari kaisi lagi comment box likh kar zaroor bataye. Aur agar aapke koi question hai to aap humse unhe puch sakte hai hum unke zavab dene ki har sambhav kosis karenge
Ak bar phir aaka hamara ye artical padhne ka bahut bahut thanks.
0 Comments